Agrsen to Doon
...............................................
kamre badle ,log bhi badle,
par na apni aadat badli,
chije rahti titar-bitar,
dhundne me jata wakt gujar,
jab badl rahe the apna aasiya,
soncha tha !
jayenge thora hum bhi badal,
par,sonch man ki man me rahi,
aur,aadat sali ek na badli.
patee khelne me hee,
rate jati hai gujar,
bhor ki pawan bela me,
nind leti humko jakad,
ghari jab chilakar bajti,
apna surryood hota tabhi,
aanan faanan me sab kam nibta,
sonchte hai kya bhul rahe ? jo lena tha,
tabhi bus ki hoarn sunai pad jati hai,
fir to vya ,
kandho me bag latkaye,
sarpat daur lagai jati ,
kuch istarh apni dincharya ,
suru ho jati hai
dincharya suru ho jati hai...........
--Jay Prakash Raj
...........................................................................
agrsen se doon aane ki bad ki prtikriya..